Showing posts with label sad urdu poetry. Show all posts
Showing posts with label sad urdu poetry. Show all posts

Monday, 1 June 2015

Bus aik mafi hamari tauba - Best Urdu Poetry



Bus aik mafi hamari tauba, kabhi jo hum ab satain tum ko
Lo hath joray, Lo kaan pakray, Ab aur kaisy manain tum ko

Tumhary aatey hi is nagar se, humain raqaabat si ho gai hai
Mein ye sharakat bhi kaisy seh loun, K choo rahi hain hawain tum ko

Tum aaina ho aur sang-baari yahan k logo'n ka mashghala hai
Har aik pathar se dhaal ban kar, Bhala kahan tak bachain tum ko?

To kia tum ab tak hamari nazro'n k sab taqazo'n se bekhabar ho?
Humain muhabbat hai tum se 'Mohsin' Ab aur kaisy bataion tum ko

Batain tum ko bichartay wak labo'n ki larzish ka ki sabab tha
Suna tha wakt-e-qabooliyat hai, So de rahy thy duain tum ko. . !

Suno! Tum ne kabhi saahil pe bikhri rait dekhi hai? - Heart Touching Poetry!

Urdu Poetry


Suno!
Tum ne kabhi saahil pe bikhri rait dekhi hai?
Samander saath behta hai
Magar us k muqaddar mein
Hamesha piyas rehti hai. .

Suno!
Tum ne kabhi sehra mein jalty pairr dekhy hain?
Sabhi ko chao'n dety hain
Magr un ko
Silay mein dhoop milti hai. .

Suno!
Tum ne kabhi shaakh'on se bichrtey phool daikhy hain?
Wo khushbu baant dety hain
Bikhar jany talak lekin,
Hawa ka saath dety hain. .

Suno!
Tum ne kabhi mailay mein bajty dhol dekhy hain?
Boht hi shor karty hain
Magar ander se khaali hain
Yehi apna fasana hai
Yehi Apni Paheli hai. . !

Kabhi to sheher-e-sitam gira'n mein, Koi muhabbat shanas aaye



Kabhi to sheher-e-sitam gira'n mein
Koi Muhabbat shanas aaye

Wo jiski aankhon se noor chalkey
labo'n se chahat ki baas aaye

Chaley to khushion k shokh jazbey
humari aankhon mein moajza'n they

magar na Poocho k wapsi kay
Safar se kitny udaas aaye

Hamaray hatho'n mein aik diya tha
Hawa ne wo bhi bujha diya tha

hein kis qadar bad-naseeb hum bhi
humain Ujalay na raas aye

Hamari janib se sheher walo'n mei
Yeh manadi Kara Do 'Mohsin'
Jisey talab ho mata-e-ghum ki
Wo Hum faqeero'n k paas aaye. . !

Khuwab tha, Deeda-e-bedaar talak aya tha. . !

Khuwab tha, Deeda-e-bedaar talak aya tha

Dasht barhta hua deewar talak aaya tha

Ab mein khamosh agar rehta tou izzat jaati
Mera dushman mery kirdaar talak aaay tha

Ishq kuch soch k khamosh raha tha warna
Husn bikta hua bazaar talak aaya tha

Aein us wakt muqaddar ne baghawat kar di
Jab mein us shakhs k mayaar talak aya tha. . !

Wo jis k kaandhay pe sir rakh kar. . .

Wo jis k kaandhay pe sir rakh kar, safar kiya tu ne manzilo'n ka. . !

Teri gali se nazar jhukaye na-janay kaisy guzar gaya wo. . !

Shaam dhaltay hi kisi gosha-e-veerani mein


Saaz-o-awaaz, khad-o-khaal mein aa jatay hain

Saans leta hoon tou sur taal mein aa jaty hain

Jung aur ishq mein haaray huay logon ki tarha
Hum ghaneemat k kisi maal mein aa jaty hain

Zindagi khuwab hai aur khuwab ki qeemat leny
Jin ko aana ho har haal mein aa jatay hain

Tu bhi saada hai kabhi chaal badalta hi nahi
Hum bhi danista teri chaal mein aa jatay hain

Shaam dhaltay hi kisi gosha-e-veerani mein
Hum parindo'n ki tarha jaal mein aa jaty hain

Sheher men koi mujh sa namurad nahee


Sheher men koi mujh sa namurad nahee...

Mery sir py taj hona chaheye...

Bewaja chorr bhi jatay hain. . !

Bewaja chorr bhi jatay hain. . !

Be tahasha mohabtoon k ameen

bewaja chor b to jatey hen,,,,,,,,

Youn teri yaad in dino. . !

Youn teri yaad in dino. . !

Youn teri yaad in dino piyaray!

Rooh ko taar taar krti hai
Jaisy wehshato'n mein aik dewani
Apny bachay ko piyar krti hai. . !


یوں تیری یاد اِن دنوں پیارے،
روح کو تار تار کرتی ہے،
جیسے وحشت میں ایک دیوانی،
اپنے بچے کو پیار کرتی ہے۔۔!! 

Tu mujhy halqa-e-yaara'n mein kahan dhoondta hai!

Tu mujhy halqa-e-yaara'n mein kahan dhoondta hai!

Tu mujhy halqa-e-yaara'n mein kahan dhoondta hai!

Mein tou khud apni rafaqat mein bhi kam hota hun!

Mil Jaingy Boht Tujhy

Mil Jaingy Boht Tujhy
Mil jaingy boht se tujhy maslehat pasand

Mujh se na sir khapa k boht sir phira hoon mein.

Humain dariyaft karny se, Humain Taskheer karny tak

Humain dariyaft karny se, Humain Taskheer karny tak

Boht hain marhalay baaqi, Hamain zanjeer karny tak
Hamary hijr k qissay, Sameto gay to likho gay
Hazaro'n baar socho gay, Humain tehreer karny tak. . !

ﮨﻤﯿﮟ ﺩﺭﯾﺎﻓﺖ ﮐﺮﻧﮯ ﺳﮯ ، ﮨﻤﯿﮟ ﺗﺴﺨﯿﺮ ﮐﺮﻧﮯ ﺗﮏ
ﺑﮩﺖ ﮨﯿﮟ ﻣﺮﺣﻠﮯ ﺑﺎﻗﯽ ، ﮨﻤﯿﮟ ﺯﻧﺠﯿﺮ ﮐﺮﻧﮯ ﺗﮏ
ﮨﻤﺎﺭﮮ ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﻗﺼّﮯ ، ﺳﻤﯿﭩﻮ ﮔﮯ ﺗﻮ ﻟﮑﮭﻮ ﮔﮯ
ﮨﺰﺍﺭﻭﮞ ﺑﺎﺭ ﺳﻮﭼﻮ ﮔﮯ ، ﮨﻤﯿﮟ ﺗﺤﺮﯾﺮ ﮐﺮﻧﮯ ﺗﮏ......!!

Kehtay Hain Kuch Log Tujhy Maseeha Magar Yahan. .

Kehty hain kuch log tujhy maseeha magr yahan. .

Aik shakhs mar gaya tujhy dekhny k baad. . !

Ab Yaad-e-Raftaga'n Ki Bhi Himmat Nahi Rahi. .

Ab yaad-e-raftaga'n ki bhi himmat nahi rahi. .

Yaaro'n ne kitni door basai hain bastiya'n. . !

Jissy khud se hi nahi fursatain. . !

Jissy khud se hi nahi fursatain, Jissy khayal apny kamal ka. . !

Ussy kia khabar mery shoq ki, Ussy kia pata mery haal ka. . !

Wohi Manzilain Wohi Rasty. . !

Heart Touching Poetry

Wohi manzilain, wohi rastay, wohi kaarwa'n, wohi faaslay. . !
Magar apny apny maqaam per, Kabhi tum nahin kabhi hum nahi. . !

Ab Teri Wazahat Mein Sadaqat Nahin Rahi !

Ab teri wazahat mein sadaqat nahi rahi. .

Ab apni muhabbat ki safai na diya kar. . !

Tu Na Milta To. . !


Heart Touching Poetry Pics
Aashna dard se hona tha kisi taur humain, ,
Tu na milta to kisi aur se bichry hoty, , !

Aik Pal Bhi Jahan Kaatna Muhaal - Sad Urdu Poetry

Aik pal bhi jahan kaatna mahaal tha, Mein ne wahan aik umer guzari hai

Kab koi shauq dastaras mein hua?? kab koi baat ikhtiyari hai??

ایک پل بھی جہاں کاٹنا محال، میں نے وہاں ایک عمر گزاری ہے
کب کوئی شوق دسترس میں ہوا؟ کب کوئی بات اختیاری ہے؟

Wohi Lehja- Urdu Poetry

Wohi lehja, wohi tewar, qasam hai tery waado'n ki
Zara bhi shak nahi hota, K ye jhooti tasalli hai. . . !